Juda hai rahgujar (rasta) thodi door saath chalo
bahut tanha hai safar thodi door saath chalo
Fir kabhi mulakaat na hogi
ye ilam (pata hona) mujhe bhi magar thodi door saath chalo
Gumsum hoon main bhi khamosh ho tum bhi
dil bahal jaaye agar thodi door saath chalo
Chand lamhon ki mulakaat hi bahut hai nadeem (dost)
aainda-e-lamha (aane wala pal ) ki kise khabar thodi door saath chalo
Shab (raat) me tanha safer aur bhi mushkil
bas hone do sahar (subha) thodi door saath chalo