Aashiyana

Kitni ajeeb si baat hai ye, 

Ek aam mulaqaat,Ab Afsana ban gaya.

Fir Wo Dheere Dheere qurbat me badal gaya,

Na socha kabhi ki koi khuda ka nazrana banega, 

Par ab to ek ajnabee Mera aashiyana ban gaya. 

 

Chaar deewaron ke beech me khushi to mili, 

Par jiski talaash mujhe Barson se thi, Wo parwana mil gaya. 

Khule Baalon se rijhaati Wo mujhe, 

Apne nakhron se behlati Wo mujhe,

Pata hi nahi chala ,Kab Baaton hi Baaton me main Uska deewana ho gaya. 

 

Akela pan kya hota hai tum kya jaano ae ghalib,

Jashn ke maahaul me bhi main gumshuda 

Raha.

Iss gumnami me usne Mera haath thaama, aur mere saath chal pada. 

Yun to tha main ek banjara, jiska na koi apna na koi paraya, 

Par iss banjare ko bhi ab ek thikana mila. 

 

Ab jab waqt ke panno ko palat ta hoon,

To lagta hai jo hua, acha hi hua. 

Farebi duniya ke raqeebon se Vida liya, 

Aur uss ajnabee ko apna liya. 

Wo Zindagi ki daud me Mera humdum ban gaya,

Aur Har mushkil safar me Mera Humsafar ban gaya. 

 

Kitni ajeeb si baat hai ye, 

Ek aam mulaqaat,Ab Afsana ban gaya.

Fir Wo Dheere Dheere qurbat me badal gaya,

Na socha kabhi ki koi khuda ka nazrana banega, 

Par ab to ek ajnabee Mera aashiyana ban gaya. 

 

View jrollin's Full Portfolio